Welcome January 2011

aey naey saal bata tujh main naya pan kia hai
her taraf khalq nay kiun shor macha rakha hai
roshni din ki wo hi taaron bhari raat wo hi
aaj hum ko nazar aati hai her baat wo hi
aasman badla hay afsos na badli hay zameen
...aik hindsay ka badalna koi jiddat to nahi
aglay barson ki tarha hongay qareenay teray
kisay maaloom nahi bara maheenay teray
janwari,farwari aur march main pare gi sardee
aur aprel ,maee ,joon main hogi garmee
tera san e dehar main kuch khoaey ga kuch paey ga
apni meeaad basar kar k chala jaay ga
be sabab detay hain kiun loag mubarak baadain
ghaliban bhool gay waqt ki karrwee yaadain
teri aamad say ghatti umer jahan main sab ki
faiz ne likhi hai ye nazm niraalay dhab kPoet: Faiz


Janaury
i
Dil behlaane ki nahi koi sabeel
january ki sard raatein hain taveel
daalta hoon apne maazi par nigaah
gaahe-gaahe kheenchta hoon sard aah
kis tarah ab dil ko raah par laoo’n main
kis bahaane se usse bhulaaoo’n main
sab ko mahv-e-khawab raat chhod ke
neend aati hai mere shabistaan mein mere
mujh ko sote dekh kar aata hai koi
mere seene se chimat jaata hai koi
dekhta hoon aa ke aksar hosh mein
koi zaalim hai mere aagosh mein
khud ko magar tanha hi paata hoon main
phir ghadi-bhar baad so jaata hoon main
phir kisi ko dekhta hoon khawaab mein
iss dafa pehchaan leta hoon tumhe
bhaag jaate ho qareeb subha-dam
chhod dete ho raheen ranj-o-gham
mujh ko tum se ishq tha mudaat huee
unn dino tum ko bhi ulfat mujh se thi
kam nigahi iqtasa-e-saal-o-sun
kya huee thi baat jaane ek din
band apna aana jaana hogaya
aur uss par ek zamaana hogaya
tum galat samjhe hawa mein baad-gumaan
baat chhoti thi magar pahonchi kahaan
jald hi main to pashemaan hogaya
tum ko bhi ehsaas kuch aisa hua
nasha pindaar main lekin thhey mast
thi giraa’n dono pe tasleem-e-shiqast
hijr ke sehra ko tay karna pada
mil gaya tha rehnuma ummeed sa
hai meri jurrat ki asal ab bhi yahi
dil ye kehta hai ke dekhein to sahi
jis mein utra tha hamaara kaarvaa’n
ab bhi mumkin hai wo khali ho makaa’n
aaj tak dete rahe dil ko fareb
ab nahi mumkin zara taab-e-shakeb
aao mere deeda-e-tar mein raho
aao,is ujde hue ghar mein raho
hausle se main pehal karta to hoon
dil mein itna soch kar darta bhi hoon
tum na thukra do meri daawat kahee’n
main ye samjhunga agar kehdo nahi
gardish-e-ayaam ko lauta liya
main ne jo kuch kho diya tha paa liya.Poet: Ibn-E-Insha

Comments

Popular posts from this blog

Comparison of Karachi Stock Exchnage Indices

Entrepreneurship