Welcome January 2011
aey naey saal bata tujh main naya pan kia hai her taraf khalq nay kiun shor macha rakha hai roshni din ki wo hi taaron bhari raat wo hi aaj hum ko nazar aati hai her baat wo hi aasman badla hay afsos na badli hay zameen ...aik hindsay ka badalna koi jiddat to nahi aglay barson ki tarha hongay qareenay teray kisay maaloom nahi bara maheenay teray janwari,farwari aur march main pare gi sardee aur aprel ,maee ,joon main hogi garmee tera san e dehar main kuch khoaey ga kuch paey ga apni meeaad basar kar k chala jaay ga be sabab detay hain kiun loag mubarak baadain ghaliban bhool gay waqt ki karrwee yaadain teri aamad say ghatti umer jahan main sab ki faiz ne likhi hai ye nazm niraalay dhab kPoet: Faiz Janaury i Dil behlaane ki nahi koi sabeel january ki sard raatein hain taveel daalta hoon apne maazi par nigaah gaahe-gaahe kheenchta hoon sard aah kis tarah ab dil ko raah par laoo’n main kis bahaane se usse bhulaaoo’n main sab ko mahv-e-khawab raat chhod ke neend ...